Hamari jild ko naram o mulaim aur khubsurat rehne ke liye munasib nami ki zaroorat hoti hai. Agar kisi wajah se nami ki munasib miqdaar jild ko muyassar na ho to is ki saakht khushk ho jati hai. Baaz mard o khawateen ki jild qudrati tor par khushk hoti hai jo koi sangeen masla nahi hai.
Jild ko khushk aur khrdri banane mein ziyada tar mousmi asraat, ghair munasib care creams, lotion ya sabun ka istemal, jism mein pani, vitamins ki kami, harmons aur ghair munasib khurak ka istemal waghera shamil ho satke hain. Agar khushk jild ki munasib dekhbhal na ki jaye to waqt ke sath sath jild badsoorat, khurdri aur jhuriyon ka shikar ho jati hai.
Ziyada tar mard o khawateen ki jild khushk sakht ki hoti hai, agar aap bhi un mein shamil hain to mandarja zail mein aap mukhtalif beauty tips aur gharelu totkay bataye gaye hain jin ki madad se aap dry skin ki munasib dekh bhaal ke ilawa apni jild ki khubsurti ko char chand laga sakte ya sakti hain.
Dry skin care tips
Khushk jild (Dry Skin) bhi amooman normal jild ki manind hoti hai, aisi jild ki munasib dekh bhaal aik ahem tareen marhala hai. Khushk jild ki munasib dekh bhaal ke liye mandarja zail tips par amal karen.
Jild ki khushki aur rookha pan dorkrne ke liye qudrati zaraye ka istemaal mufeed aur karamad sabit hota hai. Iss liye apni roz marah ki ghiza mein taaza phalon aur sabziyon ka istemal yakeeni banayen taake qudrati khwark par inhisaar karte hue jild ki khushki ko dur kiya ja sake.
Khushk jild ke liye aisi creams aur lotions istemaal karen jin mein moisturizing ajzaa ki waafar miqdaar mojood ho. Iss se nah sirf jild naram o mulaim rahay gi balkay jald mousmi asrat se bhi mehfooz rahay gi. Iske ilawa khushk jild ke liye sun screen kaa stamal har mausam mein kiya jana chahiye.
Ziyada waqt nahanay se jild khushk ho jati is liye neem garam pani se sirf 5 se 10 minute tak nahain. Aam sabun ki bajaye moisturizer miley sabun ka istemaal karen. Nahanay ke baad khushk toliye se jild ko is terhan saaf karen ke jild thori nam rahe aur saaf karne ke foran baad jild par moisturizer lagayen.
Aik adad darmiyaan size ka tamatar kaddu kash karlen. Iss mein aik khane ka chamach malai mila kar achi terhan phaint len aur khushk jild par laga len. 15 minute ke baad name garam pani se dho lain. khushk jild ke liye yeh behtareen taank hai.
Aik khane ke chamach Zaitoon ke tail mein do khane ke chamach doodh aur taza carem mila kar paste bana len. Iss paste ko 10 se 15 minute ke liye hathon aur chehray ki khushk jild par laip karen. Aakhir mein roi ke tukron ko neem garam pani mein bhigo kar jild ko saaf kar lain.
Dry Skin Care Tips And Totkay
Reviewed by Kinza Ali
on
January 07, 2020
Rating:
No comments: